Na jane mohabbat kahan jatti ja rahi hai!
Insaniyat ke khun ki bu aa rahi hai!!
Zakhamo se risti mavad me dakh le hai sari zamin!
Bhai-chare ki laash tokarain kha rahi hai!!
Zakhamo ko kuredne ki kya hai zarurat!
Insaan ki ruh roj naye zakhm pa rahi hai!!
Galiyaon mein juda karti thi roj pyaar ki mahafilen!
Ab har choraye badalti shaam ja rahi hai!!
Har raat hua karta tha subah ka najara!
Kali hai ab wo raat, daar mein naha rahi hai!!
Ab na rahi wo subah jo lati thi paaggme-mohabbat!
Kattarain aakabaar ki katalo-garat padaa rahi hai!!
'TANHA'wo kahate hain ki badal gaya hai zamana!
Badali hai hawa magar garam lu bah rahi hai!!
!